Thursday, March 22, 2012

Lamhe Shayari

Lamhe judai ke bekarar kerte hai,
Haalat mere mujhe laachar karte hai,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Ham khud kaise kahe ki aapse pyaar karte hai…
`
Dil Ke Aaine Khaney Ki Adhoori Tasveer
Taqdeer Ki Kitaab Ki Ki Woh Adhoori Tehreer
Kisi Dil Ki Baasti Mein Ek Adhoori Jagheer
Kismat Ke Haathon Par Ek Adhoori Lakeer..
`
Aankho me samaa jao is dil me raha karna
taaron me hasa karna phoolon me khila karna
jabse tumhe dekha hai jabse tumhe paya hai
kuch hosh nahi mujhko ek nasha sa chaya hai
ab baat jo karni ho aankhon se kaha karna…
`
Meri Mulakat Ko Chahe Musibat Kehna
Apni Nazar Ko Mere Liye Nafrat Kehna
Par Akele Me Jab Ansoo Bhari Aankhe
Meri Yaad Dilaye To Jaan Use Meri Mohabbat Kehna !!
`
Mohabbat har Insan ko ajmati hai,
kisi se ruth jati hai kisi pe muskurati hai,
mohabat khel hi aisa hai
kisi ka kuch nahi jata aur kisi ki jaan hi chali jaati hai…
Dard Jub Tera Paas Hota Hai
Ashk Palkon Pe Yu Machalte Hai
Jaise Barkha Se Bheenge Jangal Mein
Kaafile Jugnuo Ke Chalte Hai..
`
Apni aankho ke sabhi ashq baha kar sona
Tum meri yaad ka her deep bujha kar sona
Dar lagta hai neend hi kahe cheen na le
Tera her roz mera khwabo me aa ker sona…
`
Na Muskurane Ko Ji Chahta Hai,
Na Aansu Bahane Ko Ji Chahta Hai,
Tumhari Yaad Mein Aur Kya Kahe,
Bas Tumhare Paas Aane Ko Ji Chahata Hai !!
`
Dhadkan bina dil ka matlab hi kya
roshani bina diye ka matlab hi kya
kyu kehte hai log ki mohabbat na kar dard milta hai
wo kya jane ki dard bina mohabbat ka matlab hi kya…
Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!
`
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta..
`
Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari
To rona nahi Bus muskura dena…
`
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?.. kuch khas ho tum…
`
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai,
Hum Sabki Neend Chura Liya Karte Hai,
Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi…..
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya karte Hai…..!
Teri har suba muskurati rahe
teri har shaam gungunati rahe
tu jise bhi mile iss tarah se mile ki
har milne wale ko teri yaad satati rahe…
`
Kisi ko paas aane mein waqt lagta hai
kisi ko apna banane mein waqt lagta hai
jab manga khuda se apko
usne kaha “anmol cheez pane mein waqt lagta hai”
`
Na tasvir hai tumhari jo didar kiya jaye
na tum paas ho jo pyaar kiya jaye
ye kaun sa dard diya hai aapne
na kuchh kaha jaye, na tum bin raha jaye..
`
Sab kuch milta hai bas ek “khudai” ke siwa,
zindagi bahut pasand aayi ek “ruswai” ke siwa,
meri chahat ka ehsas bhi na kar sako ge tum,
us ki har ada pasand hai ke “bewafai” ke siwa.
`
Unki ankho se kash koi ishara to hota
kuch mere jeene ka sahara to hota
tod dete hum har rasm zamane ki
ek baar hi sahi usne pukara to hota..
Chahat Ki Akhiri Had Tak
Dil Ki Poori Gehrai Se
Saara Jeevan Chahen Usko
Aur Usay Maloom Na Ho
Aksar Yun Bhi Hota Hai…
`
Toot Jate hain Bikhar Jate hain
Kaanch Ke Ghar Hain Muqaddar Apne
Ajnabi To Sada Pyar Se Milte Hain
Bhool Jate Hain To Aksar Apne…
`
Khuda Se Maangte To Muddatain Guzar Gayin
Kyun Na Main Usko Aaj Ussi Se Maang Loon…
`
Usko Rab Se Itni Baar Maanga Hai,
Ke Ab Hum Sirf Hath Uthatey Hain
To Sawal Farishtey Khud Hi Likh Lete Hain…
`
Agar Tum Aaina Dekho
To Apne Aap Se Nazarein Chura Lena
Ke Aksar Be-wafa Logon Ko
Jab Wo Aaina Dekhen To
Aankhen Chor Lagti Hain……
Kiss kisi ki mahfil main,
Kiss kisi kiss kisi ko kiss kiya.
Ek hum hai jis ne her kiss ko miss kiya,
Aur ek aap hai jis ne her miss ko kiss kiya.
`
Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.
`
Suna hai aap dosto ki jaan hai,
sms se aapki pechaan hai,
udaas chero ki aas hai,
tabhi to aap ek dost khaas hai.
`
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
`
Teri judai bhi hamein pyaar karti hai,
Teri yaad bahut bekrar karti hai,
Woh din jo tere sath guzare the,
Talash unko nazar bar bar karti hai.
`
Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke piyalon ko piya nahi karte,
Kuch isse dost hain hamare,
Jinko pareshan na karo,
Toh wo hamain yaad kia nahi karte.
Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum,
Meri Tanhaio Ke Sawalo Ka Javab Ho Tum,
Ab To duniya Bhi Ruth Jaye To Gum Na Hoga
Meri Duniya, Kaynaat Mera Chaand Ho Tum…
`
Tum Chahe Izhaar Na Karo,
Hame To Tumhari Khamoshi Bhi Utni Hi Pyari Hai,
Tum Milo Na Milo,
Tumhari Yaadein Bhi Tum Jaisi Pyari Hai…
`
Tere Intazaar Ka Ye Alam Hai,
Tadapta Hai Dil Aakhein Bhi Nam Hai,
Teri Aarzoo Mein Jee Rahe Hai,
Warna Jeene Ki Khwahish Kam Hai..
`
Ashik Tu Soch Tera Kya Hoga Kyuki,
Hashar Ki Parvah Main Nahi Karta,
Fanah Hona Rivayat Hai Tumhari,
Ishq Naam Hai Mera Main Nahi Marta..
`
Pyar Ki Wo Misaal Banayege Hum,
Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum.
Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein K,
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum…
Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai,
Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai,
Tu aayegi ye umeed hai mujhe…..
Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi hai. ..
`
Mere chehare ki hansi ho tum,
Mere Dil ki har khushi ho tum,
Mere hontho ki mushkan ho tum,
Dhadakta hai mera ye Dil jiske liye…..
Wo Meri Jaan tum ho tum. ..
`
Dil Ki Nazuk Dhadkano KoMere Sanam Tumne Dhadakna Sikha DiyaJab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil KoGum Me Bhi Muskurana Sikha Diya…
`
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,Dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete,hum tu tumhe chand bhi de dete…..magar Chand ko Chand ka tohfa nahi dete…..!
`
Tum hansti ho mujhe hasane k liye,Tum roti ho mujhe rulane k liye,Tum ek bar ruuthkar to dekho…..Mar bhi Jaunga tumhein manane k liye.
Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan
`
Teri lehrati julfe na jane kya kehti hai
teri jhuki nazro ko dekhkar log kya kehte hai
humne suni hai aapki taarif apne kaano se
log to aapko Taj Mahal kehte hai
`
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna,
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.
`
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai
`
UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA
`
Phoolon mein hoti hai wo khushbu
jo man ko bhaa jaati hai
jo is man ko chhute hi
ek madhur geet ban jaati hai
vibhinnataa hoti hai rango mein inke
jinki man mein tasveer ban jaati hai
in phoolon mein hoti hai
`
Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare
Ki chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare…
Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai
ek din dost dusre din rakeeb hote hai
iss liye toh mene mohabbat nahin ki hai
mohabbat mein toh sirf dukh naseeb hote hai ..
`
Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta..
`
Masti ko muhabbat me fanaaa koun karega ..??
yeh farz mere sewa adaa koun karee ga …???
Haathoo ki lakiroun ko zaraa dekh najomi……
yeh dekh mere saath wafa koun karee ga?????
`
Dilon mein aarzu ke diye jalte rahenge
aakhon se aansu nikalte rahenge
aap shamaa bankar dil mein roshani toh karo
hum to mom bankar pighalte rahenge
`
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho…
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,
Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,
Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal..
`
Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon??
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko…
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo???
`
Aashiq hai tere sadiyo se hum….
itni mohabbat kisne ki hai sanam….
hadd se ziyada chaaha hai tumko humne….
maange tu jaan vi toh piche hatege na kabhi mere kadam….!!!!
`
Meri deewangi ki koi hadd nahin
teri soorat ke siva kuch yaad nahin
mein hu phool tere gulshan ka
tere siva mujh pe kisi ka haq nahin..
`
Aye khat ja unke haathon ko chum le
Jab voh padhe to unke hothon ko chum le
Khuda na kare voh phade bhi dale
To girte girte unke kadmo ko chumle..
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai.
`
Dost ki Kami Mehsoos Hoti hai
Ek haseen suhane pal ki kami mehsoos hoti hai
jab tu sath ho har khushi mehsoos hoti hai
meri thami hui saans bi Puri hoti hai
`
Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.
`
Hum Kabhi Tumse Khafa ho nahi sakte,
wada kiya hai to bevafa ho nahi sakte,
aap bhale hi hume bhulakar so jao,
magar hum aapko yaad kiye bina so nahi sakte.
`
Ek phool aksar bagh saja deta hai
Ek hi sitara sansaar chamka deta hai
Jahan duniya bhar ke rishtey bhi kaam nahi aate
Wahin ek pyara sa dost zindagi bana deta hai.
`
Zindgi ke liye jina zaruri hai,
Jine k liye arman zaruri hai,
Dil mein chahe hazaro gum ho,
Phir bhi tere chehare pe muskan zaruri hai.
`
Dosti milti hai kismat se
Todo na ise shano shoukat se
Koi na jaane aage kya ho
Bacha kar rakho ise chahat se
`
Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!
`
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
`
Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai.
`
Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar ankhein hamari kahan se layega.

No comments:

Post a Comment