Thursday, March 22, 2012

Pyaarbhari Shayari

Pyaar Kamjor Dil Se Kiya Nahi Ja Sakta,
Zeher Dushman Se Liya Nahi Ja Sakta,
Dil Mein Basi Hai Ulfat Jis Pyar Ki
Us Ke Bina Jiya Nahi Ja Sakta.
`
Saath Rehte Rehte Yuhi Waqt Guzar Jayega
Door Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega
Jee Lo Ye Pal Jab Hum Sath Hai
Kal Ka Kya Pata, Waqt Kahan Le Jayega
`
Zindagi Nahin Humein Doston Se Pyaari,
Doston Ke Liye Haazir Hai Jaan Hamaari,
Aankhon Mein Hamaari Aansoon Hai To Kya,
Jaan Se Bhi Pyaari Hai Muskaan Tumhaari !
`
Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge,
Dil Ki Duniya Mein Kabhi Shaam Naa Hone Denge,
Dosti Ka Har Ilzaam Apne Sar Par Le Lenge,
Par Dost Hum Tumhe Badnaam Na Hone Denge !
`
Dosti Ek Saahil Hai Tufaano Ke Liye,
Dosti Ek Aaina Hai Armaano Ke Liye,
Dosti Ek Mehfil Hai Anjaano Ke Liye,
Dosti Ek Khawaahish Hai Aap Jaise Dost Ko Paane Ke Liye !!
`
Tujhe Dekhe Bina Teri Tasweer Bana Sakta Hoon,
Tujhse Mile Bina Tera Haal Bata Sakta Hoon,
Hai Meri Dosti Mein Itna Dum,
Apni Aankh Ka Aansoon Teri Aankh Se Gira Sakta Hoon !!
`
Aye Dost Teri Dosti Uss Ghadi Tadpaayegi,
Jab Zindagi Kahegi Alvida, Aur Maut Bhi Naa Aayegi !
`
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Ikraar Hota Hai
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Inkaar Hota Hai
Tanhai Ko Tum Bebasi Ka Naam Na Do
Kyunki Ishq Ka Doosra Naam Hi Intezar Hota Hai !!
`
Dete Ho Kyun Ye Dard Bus Humi Ko
Kya Samjhoge Tum In Ankho Ki Nami Ko
Yun To Honge Lakho Deewane Is Chand Kay
Chand Kya Mehsus Karega Ek Tare Ki Kami Ko !!
`
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai,
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye,
Is Dil Par Asar To Aap ke Mulakat Ka Hai !!



Samay

Samay nirantar chalta jata
Samay nahi ruk pata hai
Achhe karm ka der se bhale
Achha fal mil jata hai


Bade se bade zakhm lage ho
Manab ke iss zivan me
Har pida har zakhm ko
Samay hi bhar pata hai


Bartman me samay sab kuch
Samay nahi to zivan kya ?
Zivan ke har pahlu me
Kaam samay hi aata hai


Samay ki kimat ko pahchno
Suno meri aawaz ko
Samay nilkal jaye to fir
Samay hath nahi aata hai


Samay ki sari baten mai
Thik Samay batlaunga
Samay izazat deta hai to
SAGAR kuch likh pata hai….



Pyar Ek Maa Ke Kurbani Hei..


Pyar ek maa ka kurbani hei
Jo hakikat mei daya ki rani hei


Pyar uska khatm nhi hota
Zindagi chahei khatm ho jay


Maa ki mamta kbhi nhi marti
Zindagi chaheip moot pajaye


Maa kbhi bhi khta nhi karty
Tum chahe kit ni khtay kardalo


Apne bachcho ko ak maa he jo
Zindagi bhar duway dety hei


Maa ki mamta mile jhan me jise
Wo bade khush nasib hote hei


Jin ki kismat me maa nahi hoti
Wo bade bad nasib hote hei


Sari khushya jhan ki mil kar
Phir bhi wo gam gin hote hei


Un se ulfar karo jahan walo
Wo hi to dar asl me yatim hote hei…






Mohabbat Mein Aazmaeish Nahein Ki Jaati..


Isse nibhaney ki famaeish nahein ki jaati
Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam


Dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati
Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff


Tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati
Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza


Esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati
Khush naseebi se jo mill bethein do dil


Tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati
Jin ko ho millna aur woh mill nah paein


Dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati
Piyaar tu hey muqaddron ka khel zafar


Jo nah mill sake piyar tu gujaresh nahein ki jaati




Mere Labo Pe Bewafa..


Mere labo pe bewafa ka naam aa raha hai
Uss bewafa ka gar sitam yaad aa raha hai


Lao pyar ki jala ke tukde kar diye hai
Fir bhi dil ko uss pe pyar aa raha hai


Gar sikhva mai karu to meri tauhin hogi
Aankho me na aanshu hai dil rota ja raha hai


Mayus mujhko karke woh har pal hai hasti
Usko aaj dekho kitna hasna aa raha hai


Tanhai me kat rahi yeh uska hai tohfah
Pakar uska tohfah dil pal pal ro raha hai


Usne jo diya hai use kaise mai bhula du
Jo sapna dikhya usne ab yaad a raha hai


Uski meharbani hai jo maine yeh likha hai
 bewafai ko likhta ja raha hai…


Ishq Me Dil Tut Jata Hai.


Mehkhane Me Jaam Tut Jata Hai,
Ishq Me Dil Tut Jata Hai.
Na Jane Kya Rishta Hai In Dono Me,
Jaam Tute To Ishq Yaad Aata Hai,
Dil Tute To Jaam Yaad Aata Hai….
 


Hamare Bin Adhure Tum Rahoge…


Hamare Bin Adhure Tum Rahoge,
Kabhi Chaaha Tha Kisi Ne,Tum Ye Khud Kahoge.
Na Honge Hum To Ye Aalam Na Hoga,
Milenge Bahut Se Lekin Koi Hum Sa Pagal Na Hoga…


Unke Siva Kahi Dil Lagta Bhi Nahi…


Wo Muskura Rahe Hai Hume Tanha Chod Kar,
Kiye Huye Saare Waado Ko Tod Kar.
Unke Siva Kahi Dil Lagta Bhi Nahi,
Ab Kya Karenge Hum Apne Toote Huye Dil Ko Jod Kar…


Rishte Kanch Ki Tarah Hote Hai…


Rishte Kanch Ki Tarah Hote Hai,
Toote Jaye To Chubhte Hai.
Inhe Sambhalkar Hateli Par Sajana
Kyoki Inhe Tootne Me Ek Pal
Aur Banane Me Barso Lag Jate Hai…


Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai…


Chahe Wafa Me Thokre Khate Raho,
Fir Bhi Rasme Wade Nibhate Raho.
Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai Yaaro,
Ki Jakhm Khate Raho Aur Bas Muskurate Raho….


Koi Kehta Hai Pyar Ek Tarah Ka Nasha Hai…


Koi Kehta Hai Pyar Ek Tarah Ka Nasha Hai,
Koi Kehta Hai Pyar Ek Tarah Ki Saza Hai.
Par Me Kehta Hu Pyar Karo Agar Sacche Dil Se
To Pyar Jine Ki Ek Aur Wajah Hai….


Khuda Ki Kasam Hum Muskurana Hi Chod Denge…


Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu Meri Ankhon Me,
To Khuda Ki Kasam Hum Muskurana Hi Chod Denge.
Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko
Magar Uski Taraf Palke Uthana Hi Chod Denge.
Wo Manjil Hi Kya Meri Jo Dukh De Us Ko,
Khuda Ki Kasam Us Manjil Pe Hum Jana Hi Chod Denge!…

No comments:

Post a Comment